Pyaar deewana hota hai , mastana hota hai
Har khushi se , har gham se begana hota hai

Shama kahe parwaane se pare chala ja .
Meri tarah jal jaayega , yahaan nahin aa .

Woh nahin sunta usako jal jana hota hai
Har khushi se , har gham se begana hota hai
Pyaar deewana hota hai , mastana hota hai
Har khushi se , har gham se begana hota hai
Rahe koi sau pardon mein dare sharam se
Nazar ajee lakh churaye koi sanam se
Rahe koi sau pardon mein dare sharam se
Nazar ajee lakh churaye koi sanam se
Aa hi jata hai jis pe dil aana hota hai
Har khushi se , har gham se begana hota hai
Pyaar deewana hota hai , mastana hota hai
Har khushi se , har gham se begana hota hai
Suno kisi shayar ne yeh kaha bahut khoob
Mana kare duniya lekin mere mehboob

Woh chhalak jata hai jo paimana hota hai
Har khushi se , har gham se begana hota hai
Pyaar deewana hota hai , mastana hota hai
Har khushi se , har gham se begana hota hai
No comments:
Post a Comment