Ab na mujhko yaad beeta
Main toh lamhon mein jeeta
Chala ja raha hoon
Main kahaan pe ja raha hoon ...
Kahaan hoon ?
Iss yaqeen se main yahan hoon
Ki zamana yeh bhala hai
Aur jo raah mein mila hai
Thodi door jo chala hai
Woh bhi aadmi bhala tha
Pata tha ...
Zara bas khafa tha
Woh bhatka sa raahi mere gaanv ka hi
Woh rasta puraana jisey yaad aana
Zaroori tha lekin jo roya mere bin
Wo ek mera ghar tha
Puraana sa darr tha
Magar ab na main apne ghar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha ( 2 )
Main raha ... o o ...
Main raha ... wo o ...
Main raha ...
Meel pattharon se meri dosti hai
Chaal meri kya hai raah jaanti hai
Jaane rozana ... zamana wohi rozana
Shehar shehar fursaton ko bechta hoon
Khaali haath jaata khaali laut'ta hoon
Aise rozana .. rozana khud se begana ...
Jabse gaanv se main shehar hua
Itna kadva ho gaya ki zehar hua
Main toh rozana
Na chaaha tha yeh ho jaana maine
Ye umrr , waqt , raasta .. guzarta raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha ( 2 )
Main raha .. o o ..
Main raha .. wo ..
Main raha ..
Safar ka hi tha main safar ka raha
No comments:
Post a Comment